Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ghar mein koi tah-KHana hota hai

Alam Khursheed

har ghar mein koi tah-KHana hota hai

Alam Khursheed

MORE BYAlam Khursheed

    har ghar meñ koī tah-ḳhāna hotā hai

    tah-ḳhāne meñ ik afsāna hotā hai

    kisī purānī almārī ke ḳhānoñ meñ

    yādoñ anmol ḳhazāna hotā hai

    raat ga.e aksar dil ke vīrānoñ meñ

    ik saa.e aanā jaanā hotā hai

    baḌhtī jaatī hai bechainī nāḳhun

    jaise jaise zaḳhm purānā hotā hai

    dil rotā hai chehrā hañstā rahtā hai

    kaisā kaisā farz nibhānā hotā hai

    zinda rahne ḳhātir in āñkhoñ meñ

    koī na koī ḳhvāb sajānā hotā hai

    tanhā.ī zahr to vo bhī piite haiñ

    jin logoñ ke saath zamāna hotā hai

    sahrā se bastī meñ aa kar bhed khulā

    dil ke andar vīrāna hotā hai

    sarmastī meñ yaad nahīñ rakhtā koī

    bazm se uTh kar vāpas jaanā hotā hai

    har ghar mein koi tah-KHana hota hai

    tah-KHane mein ek afsana hota hai

    kisi purani almari ke KHanon mein

    yaadon ka anmol KHazana hota hai

    raat gae aksar dil ke viranon mein

    ek sae ka aana jaana hota hai

    baDhti jati hai bechaini naKHun ki

    jaise jaise zaKHm purana hota hai

    dil rota hai chehra hansta rahta hai

    kaisa kaisa farz nibhana hota hai

    zinda rahne ki KHatir in aankhon mein

    koi na koi KHwab sajaana hota hai

    tanhai ka zahr to wo bhi pite hain

    jin logon ke sath zamana hota hai

    sahra se basti mein aa kar bhed khula

    dil ke andar hi virana hota hai

    sarmasti mein yaad nahin rakhta koi

    bazm se uTh kar wapas jaana hota hai

    RECITATIONS

    Alam Khursheed

    Alam Khursheed,

    Alam Khursheed

    har ghar mein koi tah-KHana hota hai Alam Khursheed

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now