hamein to KHwahish-e-duniya ne ruswa kar diya hai
hameñ to ḳhvāhish-e-duniyā ne rusvā kar diyā hai
bahut tanhā the us ne aur tanhā kar diyā hai
ab aksar aa.ine meñ apnā chehra DhūñDte haiñ
ham aise to nahīñ the tū ne jaisā kar diyā hai
dhaḌaktī qurbatoñ ke ḳhvāb se jaage to jaanā
zarā se vasl ne kitnā akelā kar diyā hai
agarche dil meñ gunjā.ish nahīñ thī phir bhī ham ne
tire ġham ke liye us ko kushāda kar diyā hai
tire dukh meñ hamāre baal chāñdī ho ga.e haiñ
aur is chāñdī ne qabl az vaqt būḌhā kar diyā hai
ta'alluq toḌne meñ pahl mushkil marhala thā
chalo ham ne tumhārā bojh halkā kar diyā hai
ġham-e-duniyā ġham-e-jāñ se judā hone lagā thā
'hasan' ham ne magar donoñ ko yakjā kar diyā hai
hamein to KHwahish-e-duniya ne ruswa kar diya hai
bahut tanha the us ne aur tanha kar diya hai
ab aksar aaine mein apna chehra DhunDte hain
hum aise to nahin the tu ne jaisa kar diya hai
dhaDakti qurbaton ke KHwab se jage to jaana
zara se wasl ne kitna akela kar diya hai
agarche dil mein gunjaish nahin thi phir bhi hum ne
tere gham ke liye us ko kushada kar diya hai
tere dukh mein hamare baal chandi ho gae hain
aur is chandi ne qabl az waqt buDha kar diya hai
ta'alluq toDne mein pahl mushkil marhala tha
chalo hum ne tumhaara bojh halka kar diya hai
gham-e-duniya gham-e-jaan se juda hone laga tha
'hasan' hum ne magar donon ko yakja kar diya hai
- Book : Need Musafir (Pg. 25)
- Author : Hasan Abbas Raza
- Publication : Doost Publications, Islamabad (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.