hamari jit hui hai ki donon haare hain
hamārī jiit huī hai ki donoñ haare haiñ
bichhaḌ ke ham ne ka.ī raat din guzāre haiñ
hanūz siine kī chhoTī sī qabr ḳhālī hai
agarche is meñ janāze ka.ī utāre haiñ
vo ko.ele se mirā naam likh chukā to use
sunā hai dekhne vāloñ ne phuul maare haiñ
ye kis balā kī zabāñ āsmāñ ko chaaT ga.ī
ki chāñd hai na kahīñ kahkashāñ na taare haiñ
mujhe bhī ḳhud se adāvat huī to zāhir hai
ki apne dost mujhe zindagī se pyāre haiñ
nahīñ ki arsa-e-girdāb hī ġhanīmat thā
magar yaqīñ to dilāo yahī kināre haiñ
ġhalat ki koī sharīk-e-safar nahīñ 'aslam'
sulagte aks haiñ jalte hue ishāre haiñ
hamari jit hui hai ki donon haare hain
bichhaD ke hum ne kai raat din guzare hain
hanuz sine ki chhoTi si qabr KHali hai
agarche is mein janaze kai utare hain
wo koele se mera nam likh chuka to use
suna hai dekhne walon ne phul mare hain
ye kis bala ki zaban aasman ko chaT gai
ki chand hai na kahin kahkashan na tare hain
mujhe bhi KHud se adawat hui to zahir hai
ki apne dost mujhe zindagi se pyare hain
nahin ki arsa-e-girdab hi ghanimat tha
magar yaqin to dilao yahi kinare hain
ghalat ki koi sharik-e-safar nahin 'aslam'
sulagte aks hain jalte hue ishaare hain
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 126)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.