hum sa diwana kahan mil paega is dahr mein
ham sā dīvāna kahāñ mil pā.egā is dahr meñ
ghar kiyā tā'mīr jis ne dīmakoñ ke shahr meñ
ḳhud-kushī karne meñ bhī nākām rah jaate haiñ ham
kaun amrit ghol detā hai hamāre zahr meñ
kis ko hai marne kī fursat sab yahāñ masrūf haiñ
maut tū bekār meñ aa.ī hai aise shahr meñ
TuuTī kashtī kī tarah haiñ vaqt ke sāhil pe ham
kyā zamāna thā bahā karte the apnī lahr meñ
ek vīrānī sī anjum rah ga.ī āñkhoñ meñ ab
ḳhvāb saare bah ga.e haiñ āñsuoñ kī nahr meñ
hum sa diwana kahan mil paega is dahr mein
ghar kiya ta'mir jis ne dimakon ke shahr mein
KHud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein
kis ko hai marne ki fursat sab yahan masruf hain
maut tu bekar mein aai hai aise shahr mein
TuTi kashti ki tarah hain waqt ke sahil pe hum
kya zamana tha baha karte the apni lahr mein
ek virani si anjum rah gai aankhon mein ab
KHwab sare bah gae hain aansuon ki nahr mein
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.