hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain
ham ahl-e-nazāra shām-o-sahar āñkhoñ ko fidya karte haiñ
ham jalva jalva kahte haiñ vo parda parda karte haiñ
ai nāseh tū kyā kahtā hai vo aajiz hai mai-noshī se
le toḌ rahe haiñ sāġhar ko ham aaj hī tauba karte haiñ
sarkār kā hai bāzār bhī kyā har jins ḳharīdī jaatī hai
bech aa.e sab īmān dharam ham sar kā saudā karte haiñ
jab ham ne zabāñ kholī apnī maslūb hue maqtūl hue
ye dekhiye ham ḳhāmosh hue sab merā charchā karte haiñ
ye kunj-e-qafas ye āh-o-bukā ye rañj-o-alam haiñ mere liye
kyā baat huī mil kar ham se kyūñkar vo girya girte haiñ
vo dil apnā bahlāte haiñ is shām-o-sahar ke khel meñ ham
har sub.h dabāte haiñ jazbe har shaam vo fitna karte haiñ
jab baat vafā kī aatī hai jab manzar rañg badaltā hai
aur baat bigaḌne lagtī hai vo phir ik va.ada karte haiñ
hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain
hum jalwa jalwa kahte hain wo parda parda karte hain
ai naseh tu kya kahta hai wo aajiz hai mai-noshi se
le toD rahe hain saghar ko hum aaj hi tauba karte hain
sarkar ka hai bazar bhi kya har jins KHaridi jati hai
bech aae sab iman dharam hum sar ka sauda karte hain
jab hum ne zaban kholi apni maslub hue maqtul hue
ye dekhiye hum KHamosh hue sab mera charcha karte hain
ye kunj-e-qafas ye aah-o-buka ye ranj-o-alam hain mere liye
kya baat hui mil kar hum se kyunkar wo girya girte hain
wo dil apna bahlate hain is sham-o-sahar ke khel mein hum
har subh dabaate hain jazbe har sham wo fitna karte hain
jab baat wafa ki aati hai jab manzar rang badalta hai
aur baat bigaDne lagti hai wo phir ek wada karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.