hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko
hairat se taktā hai sahrā bārish ke nazrāne ko
kitnī duur se aa.ī hai ye ret se haath milāne ko
saat suroñ kī lahroñ pe halkore lete phuul se haiñ
ik mad.hosh fazā suntī hai ik chiḌiyā ke gaane ko
boltī ho to yuuñ hai jaise phuul pe titlī Doltī ho
tum ne kaisā sabz kiyā hai aur kaise vīrāne ko
lekin un se aur tarah kī raushniyāñ sī phuuT paḌīñ
aañsū to mil kar nikle the aañkh ke rañg chhupāne ko
jaise koī jism ke andar dīvāreñ sī toḌtā hai
dekho is pāgal vahshī ko roko is dīvāne ko
hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko
kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko
sat suron ki lahron pe halkore lete phul se hain
ek madhosh faza sunti hai ek chiDiya ke gane ko
bolti ho to yun hai jaise phul pe titli Dolti ho
tum ne kaisa sabz kiya hai aur kaise virane ko
lekin un se aur tarah ki raushniyan si phuT paDin
aansu to mil kar nikle the aankh ke rang chhupane ko
jaise koi jism ke andar diwaren si toDta hai
dekho is pagal wahshi ko roko is diwane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.