hai waqia kuchh aur riwayat kuchh aur hai
hai vāqi.a kuchh aur rivāyat kuchh aur hai
yāroñ ko ya.anī ham se shikāyat kuchh aur hai
samjhī ga.ī jo baat hamārī ġhalat to kyā
yaañ tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
kuchh kam nahīñ balā se ḳhilāfat zamīñ kī bhī
yārab mirī sazā meñ ri.āyat kuchh aur hai?
ai gardish-e-zamāna tirā daur ho chukā?
yā haal par hamāre ināyat kuchh aur hai
karte ho jo bayān tum 'anjum' bajā magar
tārīḳh jo likhegī hikāyat kuchh aur hai
hai waqia kuchh aur riwayat kuchh aur hai
yaron ko yani hum se shikayat kuchh aur hai
samjhi gai jo baat hamari ghalat to kya
yan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
kuchh kam nahin bala se KHilafat zamin ki bhi
yarab meri saza mein riayat kuchh aur hai?
ai gardish-e-zamana tera daur ho chuka?
ya haal par hamare inayat kuchh aur hai
karte ho jo bayan tum 'anjum' baja magar
tariKH jo likhegi hikayat kuchh aur hai
- Book : Dastavez (Pg. 34)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.