giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai
giraftārī ke sab harbe shikārī le ke niklā hai
parinda bhī shikārī kī supārī le ke niklā hai
nikalne vaalā ye kaisī savārī le ke niklā hai
madārī jaise sāñpoñ kī piTārī le ke niklā hai
bahar-qīmat vafādārī hī saarī le ke niklā hai
hathelī par agar vo jaan pyārī le ke niklā hai
safari suiT meñ TaTa safari le ke niklā hai
vo lekin zehn o dil par bojh bhārī le ke niklā hai
yaqīnan hijratoñ kī jānkārī le ke niklā hai
agar apne hī ghar se be-qarārī le ke niklā hai
khilaune kī taḌap meñ ḳhud khilaunā vo na ban jaa.e
mirā bachcha saḌak par rezgārī le ke niklā hai
agar duniyā bhī mil jaa.e rahegā haath phailā.e
ajab kashkol duniyā kā bhikārī le ke niklā hai
ḳhatā-kārī mirī ummīd-vār-e-dāman-e-rahmat
magar muftī to qur.ān o buḳhārī le ke niklā hai
jhalaktā hai mizāj-e-shahryārī har bun-e-mū se
ba-zāhir 'ḳhair' harf-e-ḳhāksārī le ke niklā hai
giraftari ke sab harbe shikari le ke nikla hai
parinda bhi shikari ki supari le ke nikla hai
nikalne wala ye kaisi sawari le ke nikla hai
madari jaise sanpon ki piTari le ke nikla hai
bahar-qimat wafadari hi sari le ke nikla hai
hatheli par agar wo jaan pyari le ke nikla hai
safari suiT mein TaTa safari le ke nikla hai
wo lekin zehn o dil par bojh bhaari le ke nikla hai
yaqinan hijraton ki jaankari le ke nikla hai
agar apne hi ghar se be-qarari le ke nikla hai
khilaune ki taDap mein KHud khilauna wo na ban jae
mera bachcha saDak par rezgari le ke nikla hai
agar duniya bhi mil jae rahega hath phailae
ajab kashkol duniya ka bhikari le ke nikla hai
KHata-kari meri ummid-war-e-daman-e-rahmat
magar mufti to quran o buKHari le ke nikla hai
jhalakta hai mizaj-e-shahryari har bun-e-mu se
ba-zahir 'KHair' harf-e-KHaksari le ke nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.