ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan
ghir gayā huuñ be-tarah maiñ ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ
jism ke reze uḌātī āñdhiyoñ ke darmiyāñ
kitne chehre kitnī shakleñ phir bhī tanhā.ī vahī
kaun le aayā mujhe in ā.inoñ ke darmiyāñ
ham kahāñ yaaro kahāñ vo mauja-e-bād-e-nasīm
vaqt kī pahnā.iyāñ haa.il diloñ ke darmiyāñ
dil pe guzrī jo vo guzrī shahr kyuuñ vīrāñ hue
ek dahshat sī hai phailī rāstoñ ke darmiyāñ
mudda'ā pinhāñ pas-e-alfāz hai jo paḌh sako
kuchh nahīñ pāoge tum in surḳhiyoñ ke darmiyāñ
jaise ḳhushbū shahr meñ sahrā meñ jaise chāñdnī
yuuñ bikhar jaatā huuñ meñ tanhā.iyoñ ke darmiyāñ
jis kī ḳhātir she'r likhte ho kabhī paḌhtī bhī hai
kab talak uljhe rahoge qāfiyoñ ke darmiyāñ
'shām'-jī bikhre kabhī is dil ke āñgan meñ mahak
zindagī guzregī kab tak āhaToñ ke darmiyāñ
ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan
jism ke reze uDati aandhiyon ke darmiyan
kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi
kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan
hum kahan yaro kahan wo mauja-e-baad-e-nasim
waqt ki pahnaiyan hail dilon ke darmiyan
dil pe guzri jo wo guzri shahr kyun viran hue
ek dahshat si hai phaili raston ke darmiyan
mudda'a pinhan pas-e-alfaz hai jo paDh sako
kuchh nahin paoge tum in surKHiyon ke darmiyan
jaise KHushbu shahr mein sahra mein jaise chandni
yun bikhar jata hun mein tanhaiyon ke darmiyan
jis ki KHatir she'r likhte ho kabhi paDhti bhi hai
kab talak uljhe rahoge qafiyon ke darmiyan
'sham'-ji bikhre kabhi is dil ke aangan mein mahak
zindagi guzregi kab tak aahaTon ke darmiyan
- Book : chera chera mery kahani (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.