ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega
gaañv se guzregā aur miTTī ke ghar le jā.egā
ek din dariyā sabhī dīvār o dar le jā.egā
ghar kī tanhā.ī meñ yuuñ mahsūs hotā hai mujhe
jaise koī mujh ko mujh se chhīn kar le jā.egā
kaun degā us ko merī tah-nashīnī kā patā
kaun mere Duub jaane kī ḳhabar le jā.egā
aa.ine vīrāñ-nigāhī kā sabab ban jā.eñge
ḳhud-pasandī kā junūñ tāb-e-nazar le jā.egā
sub.h ke siine se phūTegī shuā-e-mehr-e-nau
sab añdhere raat ke dast-e-sahar le jā.egā
jazba-e-johd-e-musalsal hai binā-e-zindagī
ye gayā to saarā jiine kā hunar le jā.egā
ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega
ek din dariya sabhi diwar o dar le jaega
ghar ki tanhai mein yun mahsus hota hai mujhe
jaise koi mujh ko mujh se chhin kar le jaega
kaun dega us ko meri tah-nashini ka pata
kaun mere Dub jaane ki KHabar le jaega
aaine viran-nigahi ka sabab ban jaenge
KHud-pasandi ka junun tab-e-nazar le jaega
subh ke sine se phuTegi shua-e-mehr-e-nau
sab andhere raat ke dast-e-sahar le jaega
jazba-e-johd-e-musalsal hai bina-e-zindagi
ye gaya to sara jine ka hunar le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.