fariyaad hai ki meri nazar se nihan rahe
fariyād hai ki merī nazar se nihāñ rahe
aur jalva-rez aap makāñ-dar-makāñ rahe
ghar-e-be-nishāñ qafas se rihā.ī chaman meñ barq
is bebasī ke daur meñ koī kahāñ rahe
rūdād apne ishq kī gūñge kā ḳhvāb thā
tā-zīst apne raaz ke ḳhud rāzdāñ rahe
tum kyoñ udaas ho ga.e maidān-e-hashr meñ
kah do to dil kī dil meñ mirī dāstāñ rahe
manzil thī duur raah thī ġham ḳhud shikasta-pā
shauq-e-talab batā to sahī ham kahāñ rahe
duniyā ho 'abr' yā vo adam ho ki bazm-e-hashr
un kī hī justujū meñ rahe ham jahāñ rahe
fariyaad hai ki meri nazar se nihan rahe
aur jalwa-rez aap makan-dar-makan rahe
ghar-e-be-nishan qafas se rihai chaman mein barq
is bebasi ke daur mein koi kahan rahe
rudad apne ishq ki gunge ka KHwab tha
ta-zist apne raaz ke KHud raazdan rahe
tum kyon udas ho gae maidan-e-hashr mein
kah do to dil ki dil mein meri dastan rahe
manzil thi dur rah thi gham KHud shikasta-pa
shauq-e-talab bata to sahi hum kahan rahe
duniya ho 'abr' ya wo adam ho ki bazm-e-hashr
un ki hi justuju mein rahe hum jahan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.