fana hua to main tar-e-nafas mein lauT aaya
fanā huā to maiñ tār-e-nafas meñ lauT aayā
ḳhushā ki ishq tirī dastaras meñ lauT aayā
na jaane us ne khule āsmāñ meñ kyā dekhā
parinda phir se jahān-e-qafas meñ lauT aayā
kisī ke jabr meñ kitnā thā iḳhtiyār mujhe
burā kiyā ki jo maiñ apne bas meñ lauT aayā
ye hāshiye tire gumrāh kar rahe the mujhe
kitāb-e-zīst so maiñ tere nas meñ lauT aayā
vo dil-ḳharāsh thā ā.inda saal kā manzar
maiñ ulTe paañv guzishta baras meñ lauT aayā
fana hua to main tar-e-nafas mein lauT aaya
KHusha ki ishq teri dastaras mein lauT aaya
na jaane us ne khule aasman mein kya dekha
parinda phir se jahan-e-qafas mein lauT aaya
kisi ke jabr mein kitna tha iKHtiyar mujhe
bura kiya ki jo main apne bas mein lauT aaya
ye hashiye tere gumrah kar rahe the mujhe
kitab-e-zist so main tere nas mein lauT aaya
wo dil-KHarash tha aainda sal ka manzar
main ulTe panw guzishta baras mein lauT aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.