fan jo mear tak nahin pahuncha
fan jo me.aar tak nahīñ pahuñchā
apne shahkār tak nahīñ pahuñchā
pagḌī pairoñ meñ kaise maiñ rakhtā
haath dastār tak nahīñ pahuñchā
koī in.aam koī bhī tamġha
sachche haqdār tak nahīñ pahuñchā
aisā har shaḳhs hai masīhā ab
jo kabhī daar tak nahīñ pahuñchā
har ḳhudā jannatoñ meñ hai mahdūd
koī sansār tak nahīñ pahuñchā
chāra-gar sab ke paas jaatā thā
sirf bīmār tak nahīñ pahuñchā
dost ban kar daġhā na de jo vo
apne kirdār tak nahīñ pahuñchā
mujh ko alqāb kyuuñ mileñ logo
maiñ to darbār tak nahīñ pahuñchā
aisā jhagḌā batā do mujh ko jo
ghar meñ dīvār tak nahīñ pahuñchā
kis ne bechā nahīñ suḳhan apnā
kaun bāzār tak nahīñ pahuñchā
fan jo mear tak nahin pahuncha
apne shahkar tak nahin pahuncha
pagDi pairon mein kaise main rakhta
hath dastar tak nahin pahuncha
koi inam koi bhi tamgha
sachche haqdar tak nahin pahuncha
aisa har shaKHs hai masiha ab
jo kabhi dar tak nahin pahuncha
har KHuda jannaton mein hai mahdud
koi sansar tak nahin pahuncha
chaara-gar sab ke pas jata tha
sirf bimar tak nahin pahuncha
dost ban kar dagha na de jo wo
apne kirdar tak nahin pahuncha
mujh ko alqab kyun milen logo
main to darbar tak nahin pahuncha
aisa jhagDa bata do mujh ko jo
ghar mein diwar tak nahin pahuncha
kis ne becha nahin suKHan apna
kaun bazar tak nahin pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.