dua ka phul paDa rah gaya hai thaali mein
duā kā phuul paḌā rah gayā hai thālī meñ
havā use bhī uḌā de na be-ḳhayālī meñ
vo mujh se maañg rahā hai mujhe mirī ḳhātir
maiñ ḳhud ko Daal na duuñ kāsa-e-savālī meñ
bas ek mauja-e-bād-e-bahār guzrī thī
piro ga.ī hai mirā jism Daalī Daalī meñ
bikhartā jaatā hai kamre meñ cigaretoñ kā dhuāñ
paḌā hai ḳhvāb koī chaa.e kī pyālī meñ
diye ke sāmne vo sar jhukā.e baiThī hai
chamak rahī hai mirī raat us kī baalī meñ
dua ka phul paDa rah gaya hai thaali mein
hawa use bhi uDa de na be-KHayali mein
wo mujh se mang raha hai mujhe meri KHatir
main KHud ko Dal na dun kasa-e-sawali mein
bas ek mauja-e-baad-e-bahaar guzri thi
piro gai hai mera jism Dali Dali mein
bikharta jata hai kamre mein cigareton ka dhuan
paDa hai KHwab koi chae ki pyali mein
diye ke samne wo sar jhukae baiThi hai
chamak rahi hai meri raat us ki baali mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.