din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai
din guzartā hai kahāñ raat kahāñ hotī hai
dard ke māroñ se ab baat kahāñ hotī hai
ek se chehre to hote haiñ ka.ī duniyā meñ
ek sī sūrat-e-hālāt kahāñ hotī hai
zindagī ke vo kisī moḌ pe gaahe gaahe
mil to jaate haiñ mulāqāt kahāñ hotī hai
āsmānoñ se koī buuñd nahīñ barsegī
jalte sahrāoñ meñ barsāt kahāñ hotī hai
yuuñ to auroñ kī bahut bāteñ sunā.īñ un ko
apnī jo baat hai vo baat kahāñ hotī hai
jaisī āġhāz-e-mohabbat meñ huā kartī hai
vaisī phir shiddat-e-jazbāt kahāñ hotī hai
pyaar kī aag banā detī hai kundan jin ko
un ke zehnoñ meñ bhalā zaat kahāñ hotī hai
din guzarta hai kahan raat kahan hoti hai
dard ke maron se ab baat kahan hoti hai
ek se chehre to hote hain kai duniya mein
ek si surat-e-haalat kahan hoti hai
zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe
mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai
aasmanon se koi bund nahin barsegi
jalte sahraon mein barsat kahan hoti hai
yun to auron ki bahut baaten sunain un ko
apni jo baat hai wo baat kahan hoti hai
jaisi aaghaz-e-mohabbat mein hua karti hai
waisi phir shiddat-e-jazbaat kahan hoti hai
pyar ki aag bana deti hai kundan jin ko
un ke zehnon mein bhala zat kahan hoti hai
- Book : Rag-e-jan (Pg. 141)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.