dil mein jagi hi nahin thi aarzu pahle kabhi
dil meñ jaagī hī nahīñ thī aarzū pahle kabhī
is tarah miltā hī kab thā mujh se tū pahle kabhī
zindagī tū hī batā kaise tujhe pahchāntā
tū kahāñ aa.ī thī mere rū-ba-rū pahle kabhī
bik raheñ haiñ chand sikkoñ ke evaz jism-o-zamīr
is qadar sastī nahīñ thī aabrū pahle kabhī
maiñ tumhāre shahr kī tahzīb se vāqif na thā
pattharoñ se kī nahīñ thī guftugū pahle kabhī
dil mein jagi hi nahin thi aarzu pahle kabhi
is tarah milta hi kab tha mujh se tu pahle kabhi
zindagi tu hi bata kaise tujhe pahchanta
tu kahan aai thi mere ru-ba-ru pahle kabhi
bik rahen hain chand sikkon ke ewaz jism-o-zamir
is qadar sasti nahin thi aabru pahle kabhi
main tumhaare shahr ki tahzib se waqif na tha
pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.