dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai
dil kuchh der machaltā hai phir yādoñ meñ yuuñ kho jaatā hai
jaise koī ziddī bachcha rote rote so jaatā hai
sard havā yā TuuTā taav puurī raat adhūrā chāñd
mere āñgan kī miTTī ko jaane kaun bhigo jaatā hai
ik ik kar ke dhuup ke saare surḳh parinde mar jaate haiñ
ret ke zard samundar par jab sūraj paañv dho jaatā hai
tujh se bichhaḌ kar raat kā ik ik lamha sadiyoñ meñ kaTtā hai
din ke hote hote ab to ek zamāna ho jaatā hai
raat ga.e tanhā.ī mujh se aksar pūchhne aa jaatī hai
chup kī is bastī ko shor-o-ġhul meñ kaun Dubo jaatā hai
dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai
jaise koi ziddi bachcha rote rote so jata hai
sard hawa ya TuTa taw puri raat adhura chand
mere aangan ki miTTi ko jaane kaun bhigo jata hai
ek ek kar ke dhup ke sare surKH parinde mar jate hain
ret ke zard samundar par jab suraj panw dho jata hai
tujh se bichhaD kar raat ka ek ek lamha sadiyon mein kaTta hai
din ke hote hote ab to ek zamana ho jata hai
raat gae tanhai mujh se aksar puchhne aa jati hai
chup ki is basti ko shor-o-ghul mein kaun Dubo jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.