dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai
dil kī dhaḌkan ab rag-e-jāñ ke bahut nazdīk hai
raat be-āvāz be-andāz be-tahrīk hai
jam ga.ī haiñ tāroñ kī āñkhoñ pe bādal kī taheñ
Duub jaao zaat ke andar falak tārīk hai
kal ke lamhe aaj ke lamhoñ meñ mudġham ho ga.e
dekhnā āñkhoñ meñ ab jalva-numā tahrīk hai
tum mire kamre ke andar jhāñkne aa.e ho kyuuñ
so rahā huuñ chain se huuñ Thiik hai sab Thiik hai
maut kā lamha abhī aayā abhī jaane ko hai
chuum lo miTTī ko apnī hadiya-e-tabrīk hai
dosto āñkheñ na kholo ThanDī sāñseñ mat bharo
aa ga.e manzil pe tum 'aslam' bahut nazdīk hai
dil ki dhaDkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai
raat be-awaz be-andaz be-tahrik hai
jam gai hain taron ki aankhon pe baadal ki tahen
Dub jao zat ke andar falak tarik hai
kal ke lamhe aaj ke lamhon mein mudgham ho gae
dekhna aankhon mein ab jalwa-numa tahrik hai
tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun
so raha hun chain se hun Thik hai sab Thik hai
maut ka lamha abhi aaya abhi jaane ko hai
chum lo miTTi ko apni hadiya-e-tabrik hai
dosto aankhen na kholo ThanDi sansen mat bharo
aa gae manzil pe tum 'aslam' bahut nazdik hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.