dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha
dhīmā dhīmā dard suhānā ham ko achchhā lagtā thā
dukhte jī ko aur dukhānā ham ko achchhā lagtā thā
zaḳhm ko apne phuul samajhnā motī kahnā ashkoñ ko
ishq kā kārobār sajānā ham ko achchhā lagtā thā
din din bhar āvāra phirnā ek hamārī aadat thī
raat ga.e ghar lauT ke aanā ham ko achchhā lagtā thā
baiTh ke yāroñ kī mahfil meñ piite rahnā der talak
apne-āp ko bhuul hī jaanā ham ko achchhā lagtā thā
chup chup rahnā aaheñ bharnā kuchh bhī na kahnā logoñ se
tanhā tanhā ashk bahānā ham ko achchhā lagtā thā
shāḳh se TuuTe sūkhe patte tez havā ke shānoñ par
shahroñ shahroñ ḳhaak uḌānā ham ko achchhā lagtā thā
shahr-e-ġham kī ek udāsī dil meñ har-dam rahtī thī
dīvāroñ se sar Takrānā ham ko achchhā lagtā thā
gul-badanoñ ko takte rahnā bāteñ karnā ḳhushbū kī
nigah-e-gul kā qarz chukānā ham ko achchhā lagtā thā
nashsha-e-ġham kī sarshārī bhī kam to nahīñ thī phir bhī 'adīb'
talḳhī-e-mai meñ zahr milānā ham ko achchhā lagtā thā
dhima dhima dard suhana hum ko achchha lagta tha
dukhte ji ko aur dukhana hum ko achchha lagta tha
zaKHm ko apne phul samajhna moti kahna ashkon ko
ishq ka karobar sajaana hum ko achchha lagta tha
din din bhar aawara phirna ek hamari aadat thi
raat gae ghar lauT ke aana hum ko achchha lagta tha
baiTh ke yaron ki mahfil mein pite rahna der talak
apne-ap ko bhul hi jaana hum ko achchha lagta tha
chup chup rahna aahen bharna kuchh bhi na kahna logon se
tanha tanha ashk bahana hum ko achchha lagta tha
shaKH se TuTe sukhe patte tez hawa ke shanon par
shahron shahron KHak uDana hum ko achchha lagta tha
shahr-e-gham ki ek udasi dil mein har-dam rahti thi
diwaron se sar Takrana hum ko achchha lagta tha
gul-badanon ko takte rahna baaten karna KHushbu ki
nigah-e-gul ka qarz chukana hum ko achchha lagta tha
nashsha-e-gham ki sarshaari bhi kam to nahin thi phir bhi 'adib'
talKHi-e-mai mein zahr milana hum ko achchha lagta tha
- Book : AURAAQ (Pg. 247)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.