der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin
der tak koī kisī se bad-gumāñ rahtā nahīñ
vo vahāñ aatā to hogā maiñ jahāñ rahtā nahīñ
ek maiñ huuñ dhuup meñ kitnā safar tai kar liyā
ek tū hai jo kabhī be-sā.ebāñ rahtā nahīñ
tum ko kyuuñ peḌoñ pe likkhe naam miTne kā hai dukh
is badaltī rut meñ patthar par nishāñ rahtā nahīñ
vo banā letā hai apnā ghoñsla dīvār meñ
jis parinde kā shajar meñ āshiyāñ rahtā nahīñ
tū parindoñ kī tarah uḌne kī ḳhvāhish chhoḌ de
be-zamīñ logoñ ke sar par āsmāñ rahtā nahīñ
der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin
wo wahan aata to hoga main jahan rahta nahin
ek main hun dhup mein kitna safar tai kar liya
ek tu hai jo kabhi be-saeban rahta nahin
tum ko kyun peDon pe likkhe nam miTne ka hai dukh
is badalti rut mein patthar par nishan rahta nahin
wo bana leta hai apna ghonsla diwar mein
jis parinde ka shajar mein aashiyan rahta nahin
tu parindon ki tarah uDne ki KHwahish chhoD de
be-zamin logon ke sar par aasman rahta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.