dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga
dekhā use, qamar mujhe achchhā nahīñ lagā
chhū kar use, guhar mujhe achchhā nahīñ lagā
chāhā use to yuuñ ki na chāhā kisī ko phir
koī bhī umr bhar mujhe achchhā nahīñ lagā
ā.īna dil kā toḌ ke kahtā hai sañg-zan
dil terā toḌ kar mujhe achchhā nahīñ lagā
dil se mire ye kah ke sitamgar nikal gayā
dil hai tirā khañDar mujhe achchhā nahīñ lagā
uglā safar ho mere ḳhudā rāhatoñ bharā
jīvan kā ye safar mujhe achchhā nahīñ lagā
dekhā jo is ke dar pe raqīboñ kā ik hujūm
phir us ke ghar kā dar mujhe achchhā nahīñ lagā
tajdīd-e-rasm-o-rāh pe vo to rahā musir
vo bevafā magar mujhe achchhā nahīñ lagā
is kā hī zikr bas tumheñ achchhā lage 'sahāb'
kahte ho tum magar mujhe achchhā nahīñ lagā
dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga
chhu kar use, guhar mujhe achchha nahin laga
chaha use to yun ki na chaha kisi ko phir
koi bhi umr bhar mujhe achchha nahin laga
aaina dil ka toD ke kahta hai sang-zan
dil tera toD kar mujhe achchha nahin laga
dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya
dil hai tera khanDar mujhe achchha nahin laga
ugla safar ho mere KHuda rahaton bhara
jiwan ka ye safar mujhe achchha nahin laga
dekha jo is ke dar pe raqibon ka ek hujum
phir us ke ghar ka dar mujhe achchha nahin laga
tajdid-e-rasm-o-rah pe wo to raha musir
wo bewafa magar mujhe achchha nahin laga
is ka hi zikr bas tumhein achchha lage 'sahab'
kahte ho tum magar mujhe achchha nahin laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.