daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai
dāman kī fikr hai na garebāñ kī fikr hai
ahl-e-vatan ko fitna-e-daurāñ kī fikr hai
gulshan kī fikr hai na bayābāñ kī fikr hai
ahl-e-junūñ ko fasl-e-bahārāñ kī fikr hai
logoñ ko apnī fikr hai lekin mujhe nadīm
bazm-e-hayāt-o-nazm-e-gulistāñ kī fikr hai
ham maqtal-e-hayāt meñ haiñ sar-ba-kaf magar
ahl-e-havas ko apne dil-o-jāñ kī fikr hai
sāhil se duur rah ke hai manzil kī justujū
maujoñ kī fikr ham ko na tūfāñ kī fikr hai
ham ko nahīñ hai fikr kisī baat kī 'niyāz'
tārīkiyoñ meñ sham-e-farozāñ kī fikr hai
daman ki fikr hai na gareban ki fikr hai
ahl-e-watan ko fitna-e-dauran ki fikr hai
gulshan ki fikr hai na bayaban ki fikr hai
ahl-e-junun ko fasl-e-bahaaran ki fikr hai
logon ko apni fikr hai lekin mujhe nadim
bazm-e-hayat-o-nazm-e-gulistan ki fikr hai
hum maqtal-e-hayat mein hain sar-ba-kaf magar
ahl-e-hawas ko apne dil-o-jaan ki fikr hai
sahil se dur rah ke hai manzil ki justuju
maujon ki fikr hum ko na tufan ki fikr hai
hum ko nahin hai fikr kisi baat ki 'niyaz'
tarikiyon mein sham-e-farozan ki fikr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.