chhoD kar mujhko kahin phir usne kuchh socha na ho
chhoḌ kar mujh ko kahīñ phir us ne kuchh sochā na ho
maiñ zarā dekhūñ vo agle moḌ par Thahrā na ho
maiñ bhī ik patthar liye thā buz-diloñ kī bhiiḌ meñ
aur ab ye Dar hai us ne mujh ko pahchānā na ho
ham kisī bahrūpiye ko jaan leñ mushkil nahīñ
us ko kyā pahchāniye jis kā koī chehrā na ho
us ko alfāz-o-ma.ānī kā tasādum khā gayā
ab vo yuuñ chup hai ki jaise muddatoñ bolā na ho
dandnātā yuuñ phire hai shahr kī saḌkoñ pe vo
jaise puure shahr meñ koī bhī ā.īna na ho
log kahte haiñ abhī tak hai vo sargarm-e-safar
mujh ko andesha kahīñ vo raah meñ soyā na ho
mujh ko ai 'manzūr' yuuñ mahsūs hotā hai kabhī
jaise sab apne hoñ jaise koī bhī apnā na ho
chhoD kar mujh ko kahin phir us ne kuchh socha na ho
main zara dekhun wo agle moD par Thahra na ho
main bhi ek patthar liye tha buz-dilon ki bhiD mein
aur ab ye Dar hai us ne mujh ko pahchana na ho
hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin
us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho
us ko alfaz-o-maani ka tasadum kha gaya
ab wo yun chup hai ki jaise muddaton bola na ho
dandnata yun phire hai shahr ki saDkon pe wo
jaise pure shahr mein koi bhi aaina na ho
log kahte hain abhi tak hai wo sargarm-e-safar
mujh ko andesha kahin wo rah mein soya na ho
mujh ko ai 'manzur' yun mahsus hota hai kabhi
jaise sab apne hon jaise koi bhi apna na ho
- Book : Natamam (Pg. 101)
- Author : Hakeem Manzoor
- Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.