Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand mashriq se nikalta nahin dekha maine

Saeed Qais

chand mashriq se nikalta nahin dekha maine

Saeed Qais

MORE BYSaeed Qais

    chāñd mashriq se nikaltā nahīñ dekhā maiñ ne

    tujh ko dekhā hai to tujh nahīñ dekhā maiñ ne

    hādisa jo bhī ho chup-chāp guzar jaatā hai

    dil se achchhā koī rasta nahīñ dekhā maiñ ne

    phir darīche se vo ḳhushbū nahīñ pahuñchī mujh tak

    phir vo mausam kabhī dil nahīñ dekhā maiñ ne

    mom chāñd hathelī pe liye phirtā huuñ

    shahr meñ dhuup mela nahīñ dekhā maiñ ne

    chaḌhte sūraj shuāoñ ne mujhe paalā hai

    jo utar jaa.e vo dariyā nahīñ dekhā maiñ ne

    phir mire paañv zanjīr hilā de koī

    kab se is shahr rasta nahīñ dekhā maiñ ne

    mujh ko paanī meñ utarne sazā detā hai

    vo samajhtā hai ki dariyā nahīñ dekhā maiñ ne

    'qais' kahte haiñ faqīroñ pe bahut bhauñktā hai

    apne ham-sā.e kuttā nahīñ dekhā maiñ ne

    chand mashriq se nikalta nahin dekha main ne

    tujh ko dekha hai to tujh sa nahin dekha main ne

    hadisa jo bhi ho chup-chap guzar jata hai

    dil se achchha koi rasta nahin dekha main ne

    phir dariche se wo KHushbu nahin pahunchi mujh tak

    phir wo mausam kabhi dil ka nahin dekha main ne

    mom ka chand hatheli pe liye phirta hun

    shahr mein dhup ka mela nahin dekha main ne

    chaDhte suraj ki shuaon ne mujhe pala hai

    jo utar jae wo dariya nahin dekha main ne

    phir mere panw ki zanjir hila de koi

    kab se is shahr ka rasta nahin dekha main ne

    mujh ko pani mein utarne ki saza deta hai

    wo samajhta hai ki dariya nahin dekha main ne

    'qais' kahte hain faqiron pe bahut bhaunkta hai

    apne ham-sae ka kutta nahin dekha main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now