bin mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai
bin māñge mil rahā ho to ḳhvāhish fuzūl hai
sūraj se raushnī kī guzārish fuzūl hai
kis ne kahā thā TuuTī huī naav meñ chalo
dariyā ke saath aap kī ranjish fuzūl hai
nābūd ke surāġh kī sūrat nikāliye
maujūd kī numūd o numā.ish fuzūl hai
maiñ aap apnī maut kī taiyāriyoñ meñ huuñ
mere ḳhilāf aap kī sāzish fuzūl hai
ai āsmān terī ināyat bajā magar
fasleñ pakī huī hoñ to bārish fuzūl hai
jī chāhtā hai kah duuñ zamīn o zamāñ se maiñ
manzil agar nahīñ hai to gardish fuzūl hai
in.ām-e-nañg-o-nām mire kaam ke nahīñ
majzūb huuñ so merī satā.ish fuzūl hai
bin mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai
suraj se raushni ki guzarish fuzul hai
kis ne kaha tha TuTi hui naw mein chalo
dariya ke sath aap ki ranjish fuzul hai
nabud ke suragh ki surat nikaliye
maujud ki numud o numaish fuzul hai
main aap apni maut ki taiyariyon mein hun
mere KHilaf aap ki sazish fuzul hai
ai aasman teri inayat baja magar
faslen paki hui hon to barish fuzul hai
ji chahta hai kah dun zamin o zaman se main
manzil agar nahin hai to gardish fuzul hai
inam-e-nang-o-nam mere kaam ke nahin
majzub hun so meri sataish fuzul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.