ban ke saya hi sahi sat to hoti hogi
ban ke saaya hī sahī saat to hotī hogī
kam se kam tujh meñ tirī zaat to hotī hogī
ye alag baat koī chāñd ubhartā na ho ab
dil kī bastī meñ magar raat to hotī hogī
dhuup meñ kaun kise yaad kiyā kartā hai
par tire shahr meñ barsāt to hotī hogī
ham to sahrā meñ haiñ tum log sunāo apnī
shahr se roz mulāqāt to hotī hogī
kuchh bhī ho jaa.e magar tere taraf-dār haiñ sab
zindagī tujh meñ koī baat to hotī hogī
ban ke saya hi sahi sat to hoti hogi
kam se kam tujh mein teri zat to hoti hogi
ye alag baat koi chand ubharta na ho ab
dil ki basti mein magar raat to hoti hogi
dhup mein kaun kise yaad kiya karta hai
par tere shahr mein barsat to hoti hogi
hum to sahra mein hain tum log sunao apni
shahr se roz mulaqat to hoti hogi
kuchh bhi ho jae magar tere taraf-dar hain sab
zindagi tujh mein koi baat to hoti hogi
- Book : NAQSH-E-PA HAWAON KE (Pg. 26)
- Author : AMEER IMAM
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.