bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein
bahut fasād chhupā thā lahū kī gardish meñ
bikhar ke ḳhaak hue ik zarā sī laġhzish meñ
parind shāḳh pe tanhā udaas baiThā hai
uḌaan bhuul gayā muddatoñ kī bandish meñ
vo haath kyā hue ta.amīr rā.egāñ niklī
makān gir ga.e mausam kī pahlī bārish meñ
jo qatl-o-ḳhūn kī āñdhī chalī to thamtī kyā
sabhī sharīk the bastī ke log sāzish meñ
kitāb kholī to lafzoñ ke saath bahne lage
ajab tilism thā us shaḳhs kī nigārish meñ
bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein
bikhar ke KHak hue ek zara si laghzish mein
parind shaKH pe tanha udas baiTha hai
uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein
wo hath kya hue tamir raegan nikli
makan gir gae mausam ki pahli barish mein
jo qatl-o-KHun ki aandhi chali to thamti kya
sabhi sharik the basti ke log sazish mein
kitab kholi to lafzon ke sath bahne lage
ajab tilism tha us shaKHs ki nigarish mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.