baat karna hai karo samne itrao nahin
baat karnā hai karo sāmne itrāo nahīñ
jo nahīñ jānte us baat ko samjhāo nahīñ
maiñ vo samjhā huuñ bayāñ tum se jo hogā na kabhī
be-zarar huuñ mire is kashf se ghabrāo nahīñ
is tarannum meñ to mafhūm nahīñ hai koī
sher kahte ho to paḌh Daalo magar gaao nahīñ
band āñkhoñ meñ bikhar jaate haiñ bajte hue rañg
mujh se andhe ko koī ā.īna dikhlāo nahīñ
maiñ ikaa.ī kī tarah sab meñ samāyā 'mājid'
baat baḌh jā.egī ādād ko ginvāo nahīñ
baat karna hai karo samne itrao nahin
jo nahin jaante us baat ko samjhao nahin
main wo samjha hun bayan tum se jo hoga na kabhi
be-zarar hun mere is kashf se ghabrao nahin
is tarannum mein to mafhum nahin hai koi
sher kahte ho to paDh Dalo magar gao nahin
band aankhon mein bikhar jate hain bajte hue rang
mujh se andhe ko koi aaina dikhlao nahin
main ikai ki tarah sab mein samaya 'majid'
baat baDh jaegi aadad ko ginwao nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.