baat hoti hai pas-e-chakwal internet par
baat hotī hai pas-e-chakvāl internet par
nāziya suljhā rahī hai baal internet par
saas haiñ āmāda-e-dast-o-garebāñ in dinoñ
ġhībateñ min-jānib-e-sasurāl internet par
aaj bad-baḳhtī se jis ḳhush-baḳht kā shauhar huuñ maiñ
is ko ḳhat likkhā thā pichhle saal internet par
maiñ ne bas itnā hī likhā i-love-you aur phir
us ne aage kar diyā thā gaal internet par
ab hamāre she'r sunñe par koī raazī nahīñ
mil ga.e jis roz se qavvāl internet par
shukriya email ke ustād terā shukriya
ban ga.ī vo shā.era is saal internet par
ḳhālid-e-irfān terī kyā zarūrat hai ki jab
'mīr' internet par 'iqbāl' internet par
baat hoti hai pas-e-chakwal internet par
naziya suljha rahi hai baal internet par
sas hain aamada-e-dast-o-gareban in dinon
ghibaten min-jaanib-e-sasural internet par
aaj bad-baKHti se jis KHush-baKHt ka shauhar hun main
is ko KHat likkha tha pichhle sal internet par
main ne bas itna hi likha i-lowe-you aur phir
us ne aage kar diya tha gal internet par
ab hamare she'r sunne par koi raazi nahin
mil gae jis roz se qawwal internet par
shukriya email ke ustad tera shukriya
ban gai wo shaera is sal internet par
KHalid-e-irfan teri kya zarurat hai ki jab
'mir' internet par 'iqbaal' internet par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.