azab-e-ham-safari se gurez tha mujhko
azāb-e-ham-safarī se gurez thā mujh ko
pukārtā rahā ik ek qāfilā mujh ko
maiñ apnī lauTtī āvāz ke hisār meñ thā
vo lamha jab tirī āvāz ne chhuā mujh ko
ye kis ne chhīn liye mujh se ḳhushbuoñ ke makāñ
ye kaun dasht kī dīvār kar gayā mujh ko
ujāltī nahīñ ab mujh ko koī tārīkī
sañvārtā nahīñ ab koī hādsa mujh ko
bujhā bujhā sar-e-mehrāb duur baiThā thā
koī charāg samajh kar jalā gayā mujh ko
maiñ kaise apne bikharne kā tujh ko duuñ ilzām
zamānā ḳhud hī bikhartā huā milā mujh ko
azab-e-ham-safari se gurez tha mujh ko
pukarta raha ek ek qafila mujh ko
main apni lauTti aawaz ke hisar mein tha
wo lamha jab teri aawaz ne chhua mujh ko
ye kis ne chhin liye mujh se KHushbuon ke makan
ye kaun dasht ki diwar kar gaya mujh ko
ujalti nahin ab mujh ko koi tariki
sanwarta nahin ab koi hadsa mujh ko
bujha bujha sar-e-mehrab dur baiTha tha
koi charag samajh kar jala gaya mujh ko
main kaise apne bikharne ka tujh ko dun ilzam
zamana KHud hi bikharta hua mila mujh ko
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 64)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.