aur bazar se kya le jaun
aur bāzār se kyā le jā.ūñ
pahlī bārish kā mazā le jā.ūñ
kuchh to sauġhāt duuñ ghar vāloñ ko
raat āñkhoñ meñ sajā le jā.ūñ
ghar meñ sāmāñ to ho dilchaspī kā
hādisa koī uThā le jā.ūñ
ik diyā der se jaltā hogā
saath thoḌī sī havā le jā.ūñ
kyuuñ bhaTaktā huuñ ġhalat rāhoñ meñ
ḳhvāb meñ us kā pata le jā.ūñ
roz kahtā hai havā kā jhoñkā
aa tujhe duur uḌā le jā.ūñ
aaj phir mujh se kahā dariyā ne
kyā irāda hai bahā le jā.ūñ
ghar se jaatā huuñ to kaam ā.eñge
ek do ashk bachā le jā.ūñ
jeb meñ kuchh to rahegā 'alvī'
laao tum sab kī duā le jā.ūñ
aur bazar se kya le jaun
pahli barish ka maza le jaun
kuchh to saughat dun ghar walon ko
raat aankhon mein saja le jaun
ghar mein saman to ho dilchaspi ka
hadisa koi uTha le jaun
ek diya der se jalta hoga
sath thoDi si hawa le jaun
kyun bhaTakta hun ghalat rahon mein
KHwab mein us ka pata le jaun
roz kahta hai hawa ka jhonka
aa tujhe dur uDa le jaun
aaj phir mujh se kaha dariya ne
kya irada hai baha le jaun
ghar se jata hun to kaam aaenge
ek do ashk bacha le jaun
jeb mein kuchh to rahega 'alwi'
lao tum sab ki dua le jaun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 80)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.