apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun
apne riste hue zaḳhmoñ kī qabā laayā huuñ
zindagī merī taraf dekh ki maiñ aayā huuñ
kisī sunsān jazīre se pukāro mujh ko
maiñ sadāoñ ke samundar meñ nikal aayā huuñ
kaam aa.ī hai vahī chhāñv ghanī bhī jo na thī
vaqt kī dhuup meñ jis vaqt maiñ kumhlāyā huuñ
ḳhairiyat pūchhte haiñ log baḌe tanz ke saath
jurm bas ye hai ki ik shoḳh kā ham-sāya huuñ
sub.h ho jaa.e to us phuul ko dekhūñ ki jise
maiñ shabistān-e-bahārāñ se uThā laayā huuñ
asr-e-nau mujh ko nigāhoñ maiñ chhupā kar rakh le
ek miTtī huī tahzīb kā sarmāya huuñ
apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun
zindagi meri taraf dekh ki main aaya hun
kisi sunsan jazire se pukaro mujh ko
main sadaon ke samundar mein nikal aaya hun
kaam aai hai wahi chhanw ghani bhi jo na thi
waqt ki dhup mein jis waqt main kumhlaya hun
KHairiyat puchhte hain log baDe tanz ke sath
jurm bas ye hai ki ek shoKH ka ham-saya hun
subh ho jae to us phul ko dekhun ki jise
main shabistan-e-bahaaran se uTha laya hun
asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le
ek miTti hui tahzib ka sarmaya hun
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 135)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.