apna girya kis ke kanon tak jata hai
apnā girya kis ke kānoñ tak jaatā hai
gaahe gaahe apnī jānib shak jaatā hai
pakkā rasta kachchī saḌak aur phir pagDanDī
jaise koī chalte chalte thak jaatā hai
yāroñ aur pyāroñ ke hote hue bhī koī
aatā hai aur saarā shahr mahak jaatā hai
umr kaTī hai shiryānoñ ke kaTte kaTte
maulā kitnā gahrā yā nāvak jaatā hai
koī to hai jo is hañste baste manzar meñ
chupke se āvāz meñ aañsū rakh jaatā hai
chup rahte haiñ log razā kī chādar oḌhe
jaise barf se jhiil kā siina Dhak jaatā hai
apna girya kis ke kanon tak jata hai
gahe gahe apni jaanib shak jata hai
pakka rasta kachchi saDak aur phir pagDanDi
jaise koi chalte chalte thak jata hai
yaron aur pyaron ke hote hue bhi koi
aata hai aur sara shahr mahak jata hai
umr kaTi hai shiryanon ke kaTte kaTte
maula kitna gahra ya nawak jata hai
koi to hai jo is hanste baste manzar mein
chupke se aawaz mein aansu rakh jata hai
chup rahte hain log raza ki chadar oDhe
jaise barf se jhil ka sina Dhak jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.