andeshe mujhe nigal rahe hain
andeshe mujhe nigal rahe haiñ
kyuuñ dard hī phūl-phal rahe haiñ
dekho mirī aañkh bujh rahī hai
dekho mire ḳhvāb jal rahe haiñ
ik aag hamārī muntazir hai
ik aag se ham nikal rahe haiñ
jismoñ se nikal rahe haiñ saa.e
aur raushnī ko nigal rahe haiñ
ye baat bhī likh le ai muarriḳh
malbe se qalam nikal rahe haiñ
andeshe mujhe nigal rahe hain
kyun dard hi phul-phal rahe hain
dekho meri aankh bujh rahi hai
dekho mere KHwab jal rahe hain
ek aag hamari muntazir hai
ek aag se hum nikal rahe hain
jismon se nikal rahe hain sae
aur raushni ko nigal rahe hain
ye baat bhi likh le ai muarriKH
malbe se qalam nikal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.