ainak ke donon shishe hi aTe hue the dhul mein
ainak ke donoñ shīshe hī aTe hue the dhuul meñ
haath paḌ gayā kāñToñ par phūloñ ke badle bhuul meñ
chhūte hī āshā.eñ bikhrīñ jaise sapne TuuT ga.e
kis ne aTkā.e the ye kāġhaz ke phuul babūl meñ
ishq ke hijje bhī jo na jāneñ vo haiñ ishq ke dāvedār
jaise ġhazleñ raT kar gaate haiñ bachche schōl meñ
ab rātoñ ko bhī bāzāroñ meñ āvāra phirte haiñ
pahle bhañvre ho jaate the band kañval ke phuul meñ
moTī Dāloñ vaale peḌ ke patte kaise piile haiñ
kis ne dekhā kaun rog hai chhupā huā jaḌ muul meñ
ainak ke donon shishe hi aTe hue the dhul mein
hath paD gaya kanTon par phulon ke badle bhul mein
chhute hi aashaen bikhrin jaise sapne TuT gae
kis ne aTkae the ye kaghaz ke phul babul mein
ishq ke hijje bhi jo na jaanen wo hain ishq ke dawedar
jaise ghazlen raT kar gate hain bachche school mein
ab raaton ko bhi bazaron mein aawara phirte hain
pahle bhanwre ho jate the band kanwal ke phul mein
moTi Dalon wale peD ke patte kaise pile hain
kis ne dekha kaun rog hai chhupa hua jaD mul mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.