agarche waqt munajat karne wala tha
agarche vaqt munājāt karne vaalā thā
mirā mizāj savālāt karne vaalā thā
mujhe salīqa na thā raushnī se milne kā
maiñ hijr meñ guzar-auqāt karne vaalā thā
maiñ sāmne se uThā aur lau larazne lagī
charāġh jaise koī baat karne vaalā thā
khulī huī thiiñ badan par ravāñ ravāñ āñkheñ
na jaane kaun mulāqāt karne vaalā thā
vo mere kāba-e-dil meñ zarā sī der rukā
ye haj adā vo mire saath karne vaalā thā
kahāñ ye ḳhaak ke tode tale dabā huā jism
kahāñ maiñ sair-e-samāvāt karne vaalā thā
agarche waqt munajat karne wala tha
mera mizaj sawalat karne wala tha
mujhe saliqa na tha raushni se milne ka
main hijr mein guzar-auqat karne wala tha
main samne se uTha aur lau larazne lagi
charagh jaise koi baat karne wala tha
khuli hui thin badan par rawan rawan aankhen
na jaane kaun mulaqat karne wala tha
wo mere kaba-e-dil mein zara si der ruka
ye haj ada wo mere sath karne wala tha
kahan ye KHak ke tode tale daba hua jism
kahan main sair-e-samawat karne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.