agarche roz mera sabr aazmata hai
agarche roz mirā sabr āzmātā hai
magar ye dariyā mujhe tairnā sikhātā hai
ye kyā ghuTan hai mohabbat kī pahre-dārī meñ
vo kāġhazoñ pe khulī khiḌkiyāñ banātā hai
use patā hai kahāñ haath thāmnā hai mirā
use patā hai kahāñ peḌ suukh jaatā hai
maiñ us kī nazroñ kā kuchh is liye bhī huuñ qaa.il
vo jis ko chāhe use dekhnā sikhātā hai
agarche roz mera sabr aazmata hai
magar ye dariya mujhe tairna sikhata hai
ye kya ghuTan hai mohabbat ki pahre-dari mein
wo kaghazon pe khuli khiDkiyan banata hai
use pata hai kahan hath thamna hai mera
use pata hai kahan peD sukh jata hai
main us ki nazron ka kuchh is liye bhi hun qail
wo jis ko chahe use dekhna sikhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.