achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae
achchhā huā ki ishq meñ barbād ho ga.e
majbūriyoñ kī qaid se āzād ho ga.e
kab tak fareb khāte raheñ qaid meñ raheñ
ye soch kar asiir se sayyād ho ga.e
is kaifiyat kā naam hai kyā sochte haiñ ham
aur dostoñ kī zid hai ki farhād ho ga.e
milne kā man nahīñ to bahānā nayā tarāsh
ab to mukālme bhī tire yaad ho ga.e
bezār bad-mizāj anā-dār bad-lihāz
aise nahīñ the jaise tere ba.ad ho ga.e
'sānī' faqat tumhārā likhā jin ḳhutūt par
vo to kabhī ke zā.ed-ul-mī.ād ho ga.e
achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae
majburiyon ki qaid se aazad ho gae
kab tak fareb khate rahen qaid mein rahen
ye soch kar asir se sayyaad ho gae
is kaifiyat ka nam hai kya sochte hain hum
aur doston ki zid hai ki farhad ho gae
milne ka man nahin to bahana naya tarash
ab to mukalme bhi tere yaad ho gae
bezar bad-mizaj ana-dar bad-lihaz
aise nahin the jaise tere baad ho gae
'sani' faqat tumhaara likha jin KHutut par
wo to kabhi ke zaed-ul-miad ho gae
- Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 130)
- Author : Wajih Sani
- Publication : Samiya Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.