abhi to faisla baqi hai sham hone de
abhī to faisla baaqī hai shaam hone de
sahar kī oT meñ mahtāb-e-jāñ ko rone de
tirī nazar ke ishāre na raushnī ban jaa.eñ
to phir ye raat kahāñ jugnuoñ ko sone de
bahut huā to havāoñ ke saath ro lūñgā
abhī to zid hai mujhe kashtiyāñ Dubone de
hamāre baa'd bhī kaam aa.egī junūñ kī aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de
sadī se māñgegī aglī sadī hisāb-e-gunah
mire sarishk ko lamhoñ ke daaġh dhone de
ye ġham mirā hai to phir ġhair se 'ilāqa kyā
mujhe hī apnī tamannā kā baar Dhone de
babūl sabz hai bāñdhe hisār-e-nāz 'ajmal'
mujhe bhī apnī zamīñ meñ chinār bone de
abhi to faisla baqi hai sham hone de
sahar ki oT mein mahtab-e-jaan ko rone de
teri nazar ke ishaare na raushni ban jaen
to phir ye raat kahan jugnuon ko sone de
bahut hua to hawaon ke sath ro lunga
abhi to zid hai mujhe kashtiyan Dubone de
hamare ba'd bhi kaam aaegi junun ki aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de
sadi se mangegi agli sadi hisab-e-gunah
mere sarishk ko lamhon ke dagh dhone de
ye gham mera hai to phir ghair se 'ilaqa kya
mujhe hi apni tamanna ka bar Dhone de
babul sabz hai bandhe hisar-e-naz 'ajmal'
mujhe bhi apni zamin mein chinar bone de
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 284)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.