Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai

Abdul Ahad Saaz

abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    abas hai raaz ko paane justujū kyā hai

    ye chāk-e-dil hai use hājat-e-rafū kyā hai

    ye aa.ine haiñ ki ham-chehra lashkaroñ safeñ

    ye aks aks koī sūrat-e-adū kyā hai

    mushābahat ke ye dhoke mumāsalat ke fareb

    mirā tazād liye mujh hū-ba-hū kyā hai

    maiñ ek halqa-e-be-samt apne markaz par

    ye shash-jahāt haiñ kaise ye chār-sū kyā hai

    ye lahm o ḳhuuñ ke kinā.e ye zehn ke uslūb

    mire vajūd pairāya-e-numū kyā hai

    ye āsmāñ se rag-e-jāñ tak ek sargoshī

    sukūt-e-shab ye andāz-e-guftugū kyā hai

    ye rahguzār-e-nafas tañgnā.e-māyūsī

    magar ye vus.at-e-dāmān-e-ārzū kyā hai

    hisār-e-jism o tilism-e-qabā aziiz magar

    nikal bhī aao mirī jaañ kabhū kabhū kyā hai

    ḳhayāl kyā hai jo alfāz tak na pahuñche 'sāz'

    jab aañkh se na Tapkā to phir lahū kyā hai

    abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai

    ye chaak-e-dil hai use hajat-e-rafu kya hai

    ye aaine hain ki ham-chehra lashkaron ki safen

    ye aks aks koi surat-e-adu kya hai

    mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb

    mera tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai

    main ek halqa-e-be-samt apne markaz par

    ye shash-jahat hain kaise ye chaar-su kya hai

    ye lahm o KHun ke kinae ye zehn ke uslub

    mere wajud ka pairaya-e-numu kya hai

    ye aasman se rag-e-jaan tak ek sargoshi

    sukut-e-shab ka ye andaz-e-guftugu kya hai

    ye rahguzar-e-nafas tangnae-mayusi

    magar ye wusat-e-daman-e-arzu kya hai

    hisar-e-jism o tilism-e-qaba aziz magar

    nikal bhi aao meri jaan kabhu kabhu kya hai

    KHayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz'

    jab aankh se hi na Tapka to phir lahu kya hai

    Source :
    • Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 108)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now