aasman ka na raha aur zamin ka na raha
āsmāñ kā na rahā aur zamīñ kā na rahā
ġham kī jo shāḳh se TuuTā vo kahīñ kā na rahā
itne be-rañg ujāloñ se nazar guzrī hai
hausla aañkh ko ab ḳhvāb-e-hasīñ kā na rahā
vaqt ne saare bharosoñ ke shajar kaaT diye
ab to saaya bhī koī ḳhāk-nashīñ kā na rahā
kaun ab us ko ujaḌne se bachā saktā hai
haa.e vo ghar ki jo apne hī makīñ kā na rahā
ai 'nazīr' apnī sharāfat hai isī kī qaa.il
haañ kā pāband huā jab tū ''nahīñ'' kā na rahā
aasman ka na raha aur zamin ka na raha
gham ki jo shaKH se TuTa wo kahin ka na raha
itne be-rang ujalon se nazar guzri hai
hausla aankh ko ab KHwab-e-hasin ka na raha
waqt ne sare bharoson ke shajar kaT diye
ab to saya bhi koi KHak-nashin ka na raha
kaun ab us ko ujaDne se bacha sakta hai
hae wo ghar ki jo apne hi makin ka na raha
ai 'nazir' apni sharafat hai isi ki qail
han ka paband hua jab tu nahin ka na raha
- Book : Aiwan (Pg. 108)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.