aarzi aasaishon ki chah karna chhoD de
'ārzī āsā.ishoñ kī chaah karnā chhoḌ de
fikr-e-uqbā zehn meñ rakh fikr-e-duniyā chhoḌ de
kuchh 'amal kā zikr kar kuchh baat kar kirdār kī
qaisar-o-kisrā kā ab to ḳhvāb bunñā chhoḌ de
kashtiyāñ bhī bādbānoñ kī nahīñ muhtāj ab
'ārzī ho jo sahārā vo sahārā chhoḌ de
zindagī andoh-e-ġham meñ ghuT ke rah jaa.e agar
jazba-e-ġham āñsuoñ kī shakl bahnā chhoḌ de
vasl kā vā'da kiyā hai to ise puurā bhī kar
ye nayā har roz kā hiila bahānā chhoḌ de
ek din to dil ko bhī tarjīh de kar dekh luuñ
'aql se kah do ki mujh ko aaj tanhā chhoḌ de
kaash aa jaa.e palaT kar vo sunahrā daur phir
bhaa.ī bhaa.ī ke liye muñh kā nivālā chhoḌ de
apne hāthoñ se kamāne kī lagan dil meñ nahīñ
chāhtā hai aaj beTā baap virsā chhoḌ de
dekh khā jaa.eñ na aaheñ be-kas-o-mazlūm kī
ai amīr-e-shahr ab bhī zulm Dhānā chhoḌ de
mulk kī galiyāñ lahū piine kī 'aadī ho na jaa.eñ
ye ta'assub zahr kā zehnoñ meñ bharnā chhoḌ de
maz.habī jazbāt ke saare piTāre band kar
ai siyāsat ke madārī ye tamāshā chhoḌ de
chāñd ko chhūne kī koshish ahmaqāna fe.al hai
jo na hāsil ho sake us kī tamannā chhoḌ de
tā-qayāmat yaad rakkhe tujh ko ye duniyā 'salīm'
apne kirdār-o-amal kā naqsh aisā chhoḌ de
'arzi aasaishon ki chah karna chhoD de
fikr-e-uqba zehn mein rakh fikr-e-duniya chhoD de
kuchh 'amal ka zikr kar kuchh baat kar kirdar ki
qaisar-o-kisra ka ab to KHwab bunna chhoD de
kashtiyan bhi baadbanon ki nahin muhtaj ab
'arzi ho jo sahaara wo sahaara chhoD de
zindagi andoh-e-gham mein ghuT ke rah jae agar
jazba-e-gham aansuon ki shakl bahna chhoD de
wasl ka wa'da kiya hai to ise pura bhi kar
ye naya har roz ka hila bahana chhoD de
ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh lun
'aql se kah do ki mujh ko aaj tanha chhoD de
kash aa jae palaT kar wo sunahra daur phir
bhai bhai ke liye munh ka niwala chhoD de
apne hathon se kamane ki lagan dil mein nahin
chahta hai aaj beTa bap wirsa chhoD de
dekh kha jaen na aahen be-kas-o-mazlum ki
ai amir-e-shahr ab bhi zulm Dhana chhoD de
mulk ki galiyan lahu pine ki 'adi ho na jaen
ye ta'assub zahr ka zehnon mein bharna chhoD de
mazhabi jazbaat ke sare piTare band kar
ai siyasat ke madari ye tamasha chhoD de
chand ko chhune ki koshish ahmaqana feal hai
jo na hasil ho sake us ki tamanna chhoD de
ta-qayamat yaad rakkhe tujh ko ye duniya 'salim'
apne kirdar-o-amal ka naqsh aisa chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.