aankhon mein uski maine aaKHir malal dekha
āñkhoñ meñ us kī maiñ ne āḳhir malāl dekhā
kin kin bulandiyoñ par apnā zavāl dekhā
sāz-e-falak ne chheḌā ma.anī kā raag jis dam
farsh-e-zamīñ pe raqsāñ pā-e-ḳhayāl dekhā
vo kūdte uchhalte rangīn pairahan the
ma.asūm qahqahoñ meñ uḌtā gulāl dekhā
ye kaun hai jo mujh meñ mujh se ulajh rahā hai
sau baar maiñ ne ḳhud ko ḳhud se nikāl dekhā
kyā jaane kaun haiñ vo jin ke liye judā haiñ
maiñ ne to ek sūrat hijr-o-visāl dekhā
kuchh zaḳhm kāvishoñ ke kuchh hasratoñ ke lāshe
bāhar se kuchh ziyāda andar qitāl dekhā
nākām hasratoñ kī rūdād muḳhtasar hai
bhaa.e vo kaam jī ko jin ko muhāl dekh
ai dil ḳhabīs ab tū kis kis pe jaan degā
maiñ ne to har qadam par ik be-misāl dekhā
tārīḳh hai ki ḳhud ko dohrā.e jā rahī hai
baasī kaḌhī meñ ham ne yuuñ bhī ubaal dekhā
dil se utar ga.iiñ ab pās-e-vafā kī bāteñ
maiñ ne bhī ek muddat tak ye rog paal dekhā
bas thā ki us se pūchhūñ ye ḳhush-gumāniyāñ kyoñ
itne meñ us ke muñh par apnā savāl dekhā
kuchh saaf us kā chehra matlab nahīñ batātā
yuuñ thā ki jaise maiñ ne qur.āñ meñ faal dekhā
mujh ko ġharaz nahīñ kuchh kaisā hai aur kyā hai
jo bhī ḳhayāl aaya sheroñ meñ Dhaal dekhā
aankhon mein us ki main ne aaKHir malal dekha
kin kin bulandiyon par apna zawal dekha
saz-e-falak ne chheDa mani ka rag jis dam
farsh-e-zamin pe raqsan pa-e-KHayal dekha
wo kudte uchhalte rangin pairahan the
masum qahqahon mein uDta gulal dekha
ye kaun hai jo mujh mein mujh se ulajh raha hai
sau bar main ne KHud ko KHud se nikal dekha
kya jaane kaun hain wo jin ke liye juda hain
main ne to ek surat hijr-o-visal dekha
kuchh zaKHm kawishon ke kuchh hasraton ke lashe
bahar se kuchh ziyaada andar qital dekha
nakaam hasraton ki rudad muKHtasar hai
bhae wo kaam ji ko jin ko muhaal dekh
ai dil KHabis ab tu kis kis pe jaan dega
main ne to har qadam par ek be-misal dekha
tariKH hai ki KHud ko dohrae ja rahi hai
basi kaDhi mein hum ne yun bhi ubaal dekha
dil se utar gain ab pas-e-wafa ki baaten
main ne bhi ek muddat tak ye rog pal dekha
bas tha ki us se puchhun ye KHush-gumaniyan kyon
itne mein us ke munh par apna sawal dekha
kuchh saf us ka chehra matlab nahin batata
yun tha ki jaise main ne quran mein fal dekha
mujh ko gharaz nahin kuchh kaisa hai aur kya hai
jo bhi KHayal aaya sheron mein Dhaal dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.