aankh ne dhoka khaya tha ya saya tha
aañkh ne dhoka khāyā thā yā saayā thā
vo khiḌkī meñ aayā thā yā saayā thā
darvāze ke pīchhe ik parchhā.īñ thī
us ne haath hilāyā thā yā saayā thā
ek lakīr dhueñ kī thī yā ḳhushbū kī
rañg koī lahrāyā thā yā saayā thā
abhī jo mere paas thā shāyad apnā thā
shāyad koī parāyā thā yā saayā thā
niind se jaagā huuñ to baiThā sochtā huuñ
ḳhvāb meñ us ko paayā thā yā saayā thā
aankh ne dhoka khaya tha ya saya tha
wo khiDki mein aaya tha ya saya tha
darwaze ke pichhe ek parchhain thi
us ne hath hilaya tha ya saya tha
ek lakir dhuen ki thi ya KHushbu ki
rang koi lahraya tha ya saya tha
abhi jo mere pas tha shayad apna tha
shayad koi paraya tha ya saya tha
nind se jaga hun to baiTha sochta hun
KHwab mein us ko paya tha ya saya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.