aandhiyon ka KHwab adhura rah gaya
āñdhiyoñ kā ḳhvāb adhūrā rah gayā
haath meñ ik sūkhā pattā rah gayā
shahr to sābit huā shahr-e-ḳhayāl
aañkh meñ bas ik dhuñdlakā rah gayā
aa ga.e bārish ke din dīvār par
ik zarā sā rañg kachchā rah gayā
khilkhilā kar dhuup pīchhe haT ga.ī
hote hote ik tamāshā rah gayā
rāste ik dūsre meñ kho ga.e
haath meñ saḌkoñ kā naqshā rah gayā
achchhe achchhe sab khilaune bik ga.e
shaam kā sunsān melā rah gayā
mahfiloñ kī bhī fazā ma.alūm hai
kyā huā jo maiñ akelā rah gayā
aandhiyon ka KHwab adhura rah gaya
hath mein ek sukha patta rah gaya
shahr to sabit hua shahr-e-KHayal
aankh mein bas ek dhundlaka rah gaya
aa gae barish ke din diwar par
ek zara sa rang kachcha rah gaya
khilkhila kar dhup pichhe haT gai
hote hote ek tamasha rah gaya
raste ek dusre mein kho gae
hath mein saDkon ka naqsha rah gaya
achchhe achchhe sab khilaune bik gae
sham ka sunsan mela rah gaya
mahfilon ki bhi faza malum hai
kya hua jo main akela rah gaya
- Book : Shahr Aainda (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.