taariiKH
taariiKH to har nasl likhegii
baar baar pesh ho.nge
mare hu.e log
zinda logo.n kii 'adaalat me.n
baar baar qabro.n se uThaa.e jaa.e.nge pinjar
haar pahan.ne ke liye
kabhii phuulo.n ke
kabhii kaa.nTo.n ke
vaqt kii ko.ii aaKHirii 'adaalat nahii.n
aur taariiKH kabhii aaKHrii baar nahii.n likhii jaatii
taariiKH to har nasl likhegii
baar baar pesh ho.nge
mare hu.e log
zinda logo.n kii 'adaalat me.n
baar baar qabro.n se uThaa.e jaa.e.nge pinjar
haar pahan.ne ke liye
kabhii phuulo.n ke
kabhii kaa.nTo.n ke
vaqt kii ko.ii aaKHirii 'adaalat nahii.n
aur taariiKH kabhii aaKHrii baar nahii.n likhii jaatii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.