Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Father

The love of father is

just as strong as the love of mother. In the poems and couplets, the love and affection for father is depicted. We are presenting here a selection of poetry about the affection and sacrifice of a father. The intensity of emotions and the depth of feelings in the composition of these couplets will definitely touch the readers, please read the couplets and Share the shers.

hameñ paḌhāo na rishtoñ koī aur kitāb

paḌhī hai baap ke chehre jhurriyāñ ham ne

hamein paDhao na rishton ki koi aur kitab

paDhi hai bap ke chehre ki jhurriyan hum ne

Meraj Faizabadi

ye soch ke maañ baap ḳhidmat meñ lagā huuñ

is peḌ saayā mire bachchoñ ko milegā

ye soch ke man bap ki KHidmat mein laga hun

is peD ka saya mere bachchon ko milega

Munawwar Rana

beTiyāñ baap āñkhoñ meñ chhupe ḳhvāb ko pahchāntī haiñ

aur koī dūsrā is ḳhvāb ko paḌh le to burā māntī haiñ

beTiyan bap ki aankhon mein chhupe KHwab ko pahchanti hain

aur koi dusra is KHwab ko paDh le to bura manti hain

Iftikhar Arif

mujh ko chhāñv meñ rakhā aur ḳhud bhī vo jaltā rahā

maiñ ne dekhā ik farishta baap parchhā.īñ meñ

mujh ko chhanw mein rakha aur KHud bhi wo jalta raha

main ne dekha ek farishta bap ki parchhain mein

Unknown

un ke hone se baḳht hote haiñ

baap ghar ke daraḳht hote haiñ

un ke hone se baKHt hote hain

bap ghar ke daraKHt hote hain

Unknown

mujh ko thakne nahīñ detā ye zarūrat pahāḌ

mere bachche mujhe būḌhā nahīñ hone dete

mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD

mere bachche mujhe buDha nahin hone dete

Meraj Faizabadi

azīz-tar mujhe rakhtā hai vo rag-e-jāñ se

ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se

aziz-tar mujhe rakhta hai wo rag-e-jaan se

ye baat sach hai mera bap kam nahin man se

Tahir Shaheer

ghar is baar mukammal maiñ talāshī lūñgā

ġham chhupā kar mire maañ baap kahāñ rakhte the

ghar ki is bar mukammal main talashi lunga

gham chhupa kar mere man bap kahan rakhte the

Sajid Jawed Sajid

muddat ke baad ḳhvāb meñ aayā thā merā baap

aur us ne mujh se itnā kahā ḳhush rahā karo

muddat ke baad KHwab mein aaya tha mera bap

aur us ne mujh se itna kaha KHush raha karo

Abbas Tabish

baap ziina hai jo le jaatā hai ūñchā.ī tak

maañ duā hai jo sadā sāya-figan rahtī hai

bap zina hai jo le jata hai unchai tak

man dua hai jo sada saya-figan rahti hai

Sarfraz Nawaz

bachche merī uñglī thāme dhīre dhīre chalte the

phir vo aage dauḌ ga.e maiñ tanhā pīchhe chhūT gayā

bachche meri ungli thame dhire dhire chalte the

phir wo aage dauD gae main tanha pichhe chhuT gaya

Khalid Mahmood

der se aane par vo ḳhafā thā āḳhir maan gayā

aaj maiñ apne baap se milne qabristān gayā

der se aane par wo KHafa tha aaKHir man gaya

aaj main apne bap se milne qabristan gaya

Afzal Khan

vo vaqt aur the ki buzurgoñ qadr thī

ab ek būḌhā baap bhare ghar pe baar hai

wo waqt aur the ki buzurgon ki qadr thi

ab ek buDha bap bhare ghar pe bar hai

Moin Shadab

merā bhī ek baap thā achchhā ek baap

vo jis jagah pahuñch ke marā thā vahīñ huuñ maiñ

mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap

wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main

Rais Farogh

jab bhī vālid jafā yaad aa.ī

apne daadā ḳhatā yaad aa.ī

jab bhi walid ki jafa yaad aai

apne dada ki KHata yaad aai

Mohammad Yusuf Papa

in uThnā nahīñ hai hashr se kam

ghar dīvār baap saayā

in ka uThna nahin hai hashr se kam

ghar ki diwar bap ka saya

Unknown

vo peḌ jis chhāñv meñ kaTī thī umr gaañv meñ

maiñ chuum chuum thak gayā magar ye dil bharā nahīñ

wo peD jis ki chhanw mein kaTi thi umr ganw mein

main chum chum thak gaya magar ye dil bhara nahin

Hammad Niyazi

haDDiyāñ baap guude se huī haiñ ḳhālī

kam se kam ab to ye beTe bhī kamāne lag jaa.eñ

haDDiyan bap ki gude se hui hain KHali

kam se kam ab to ye beTe bhi kamane lag jaen

Raoof Khair

maiñ ne hāthoñ se bujhā.ī hai dahaktī huī aag

apne bachche ke khilaune ko bachāne ke liye

main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag

apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye

Shakeel Jamali

sub.h savere nañge paañv ghaas pe chalnā aisā hai

jaise baap pahlā bosa qurbat jaise maaoñ

subh sawere nange panw ghas pe chalna aisa hai

jaise bap ka pahla bosa qurbat jaise maon ki

Hammad Niyazi

maiñ apne baap ke siine se phuul chuntā huuñ

so jab bhī saañs thamī baaġh meñ Tahal aayā

main apne bap ke sine se phul chunta hun

so jab bhi sans thami bagh mein Tahal aaya

Hammad Niyazi

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now