Sher on Anjam
All human endeavours
reach an end and all our actions have their consequences. As actions are of different kinds, consequences are also of different kinds. This applies to all aspects of life from love to war in all places and times. You would appreciate this selection around the theme of consequence.
anjām-e-vafā ye hai jis ne bhī mohabbat kī
marne kī duā māñgī jiine kī sazā paa.ī
anjam-e-wafa ye hai jis ne bhi mohabbat ki
marne ki dua mangi jine ki saza pai
anjām ko pahuñchūñgā maiñ anjām se pahle
ḳhud merī kahānī bhī sunā.egā koī aur
anjam ko pahunchunga main anjam se pahle
KHud meri kahani bhi sunaega koi aur
na jaane kaun sī manzil pe ishq aa pahuñchā
duā bhī kaam na aa.e koī davā na lage
na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha
dua bhi kaam na aae koi dawa na lage
-
Tags : Duaand 2 more
rote jo aa.e the rulā ke ga.e
ibtidā intihā ko rote haiñ
rote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain
-
Tag : Maut
apne apne ghar jā kar sukh kī niiñd so jaa.eñ
tū nahīñ ḳhasāre meñ maiñ nahīñ ḳhasāre meñ
apne apne ghar ja kar sukh ki nind so jaen
tu nahin KHasare mein main nahin KHasare mein