ahbāb ko de rahā huuñ dhokā
chehre pe ḳhushī sajā rahā huuñ
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
-
Tags : Dhokaand 1 more
aaḌe aayā na koī mushkil meñ
mashvare de ke haT ga.e ahbāb
aaDe aaya na koi mushkil mein
mashware de ke haT gae ahbab
is vahm se ki niiñd meñ aa.e na kuchh ḳhalal
ahbāb zer-e-ḳhāk sulā kar chale ga.e
is wahm se ki nind mein aae na kuchh KHalal
ahbab zer-e-KHak sula kar chale gae
shaġhl-e-ulfat ko jo ahbāb burā kahte haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki ye kyā kahte haiñ
shaghl-e-ulfat ko jo ahbab bura kahte hain
kuchh samajh mein nahin aata ki ye kya kahte hain
ġham musalsal ho to ahbāb bichhaḌ jaate haiñ
ab na koī dil-e-tanhā ke qarīñ aa.egā
gham musalsal ho to ahbab bichhaD jate hain
ab na koi dil-e-tanha ke qarin aaega
ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'
ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā
ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar'
ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya
-
Tag : Baam
hijr-e-jānāñ ke alam meñ ham farishte ban ga.e
dhyān muddat se chhuTā āb-o-ta.ām-o-ḳhvāb kā
hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae
dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka