adā.eñ tā-abad bikhrī paḌī haiñ
azal meñ phaT paḌā joban kisī kā
adaen ta-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDa joban kisi ka
maiñ rūh-e-ālam-e-imkāñ meñ sharh-e-azmat-e-yazdāñ
azal hai merī bedārī abad ḳhvāb-e-girāñ merā
main ruh-e-alam-e-imkan mein sharh-e-azmat-e-yazdan
azal hai meri bedari abad KHwab-e-giran mera
dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar
dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai
dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai
-
Tag : Azal